Anjuman E Sakina



AKBAR TERI LAASH UTHAAE KAISE HUSAIN
DIL THAAME HUWE AUR KHAM HAI KAMAR
BINAAYI NAHIN AUR ZAKHMI JIGAR
AKBAR TERI LAASH UTHAAE KAISE HUSAIN

AI BETAA ZAIFI HAI AISI
RAASHAA HAI BADAN ME BAABAA KE
ABBAAS NAHIN QAASIM BHI NAHIN
IMDAAD KIN KHAATIR KOUN AAYE
LIYE BOJ ISI GHAM KAA DIL PAR

SADMON KI THAKAN NE MAAR DIYAA
DIN BHAR TO UTHAAYE HAIN LAASHE
SAB ZABT KE BANDHAN TUT GAYE
BINAAYI GAYI TERE GHAM SE
TANHAA HAI SARE MAQTAL YE PADAR

AI LAAL TERI SURAT KI QASAM
AB TAAB NAHIN HAI IS DIL KO
MAI BURHAA PADAR AUR TUM HO JAWAAN
KYAA WAQT PADAA ITNAA SONCHO
MAI BEKAS-O-TANHAA AUR MUZTAR

KHAIME ME TUJHE ROTI HAI PHUPHI
AUR ZEBE MUSALLAA HAI MAADAR
ATHAARAA BARAS PAALAA HAI TUJHE
KYA BEET RAHI HOGI DIL PAR

PARDES ME MERE NURE NAZAR
JITE JI MUJHE TU MAAR GAYAA
NEZE KI TARHA YE GHAM AKBAR
HAM SAB KE DILON SE PAAR GAYAA
ROTI HAI TERI MAA YE KEHKAR

KARTA HUN DUAA YE KHAALIQ SE
QISMAT NA KISI KO DE YE GHAM
HO SAAMNE BETE KAA LAASHAA
AUR BAAP KARE USKAA MAATAM
SUNLE YE DUAA RABBE AKBAR

TAQDEER KISI MAADAR KO BHI
YE GHAM NA DOBAARAA DIKHLAAE
BETAA HO SHABIHE PAIGHAMBAR
MAA JITI RAHE WO MARJAAYE
MARJAAEGI RO RO KAR MAADAR

JO TERE KALEJE ME THI SINAA
HAI ZAKHMI USI SE DIL MERAA
KIS TARHA SINAA WO KHENCHI THI
MAI TUJHKO NAHIN BATLAA SAKTAA
DIL TUKDE HUWE JAATAA HAI PISAR

JO BAYN KIYE SHEH NE BAN ME
MAZHAR WO BAYAAN KAR SAKTAA NAHIN
SINE PE PISAR KE SAR RAKH KAR
YE KEHTE RAHE BAS SHAAHE MUBEEN
AB ZINDAA RAHU MAI BHI KIYUN KAR