Anjuman E Sakina



BESHIR KAA LAASHAA BESHIR KAA LAASHAA

LAASHE TO SHAHE DEEN NE UTHAAEN HAIN BAHATTAR
LAIKIN KISI LAASHE PE NAHIN DEKHAA YE MANZAR
KIS GHURBAT-O MAZLOOMI SE MAULAA NE UTHAAYAA

WO LAASH LIYE SAATH DAFAA AAGE BARHE HAIN
PHIR SONCH KE KUCHH ROTE HUWE PICHHE HATE HAIN
HASRAT SE BOHOT DEKH RAHE HAIN SHAHE WAALAA

AI SHAAHE NAJAF AAP SE FARIYAAD HAI MAULAA
AASAAN THAA WO HAATHON SE KHAIBAR KAA UTHAANAA
MUSHKIL HAI MAGAR BAAP KAA HAATHON SE UTHAANAA

LEJAAWO JIGAR THAAM KE IS LAAL KO AAKE
AAWAAZ DI PHIR MAADARE ASGHAR KO YE JAAKE
YE KEHTE HUWE MAULAA NE PHIR AAGE BARHAAYAA

EK JUMLAA BARI AAS SE FARMAAYAA HAI MAA NE
KYAA ZIBHA KIYE JAATE HAIN TUJH JAISE BHI BACHE
JAB MAADARE ASGHAR NE NIGHAAHON SE HAI DEKHAA

PHIR SONCHAA LAHAD KHOD KE DAFNAADUN YE MAYYAT
EK NANNHI SI MAYAAT PE NA AAYE YE QAYAAMAT
PAAMAAL NA HO GODON SE YE PHUL KE JAISAA

PHIR MAULAA NE TALWAAR SE HAI QABR BANAAYI
AUR NANNHI SI MAYYAT USI TURBAT ME CHHUPAAYI
PHIR ROTE HAIN JAB QABR ME DAFNAA CHUKE MAULAA

JAB HOCHUKI HAI SHEH KI SAR-O TAN ME JUDAAI
MAQTAL ME PHIR EK BAAR QAYAAMAT HAI YE AAYI
HAI DHUNDHNE KO EK SHAQI DASHT ME AAYAA

WO DHUNDHTAA PHIRTAA HAI LIYE HAATH ME KHANJAR
SHAAYAD MUJHE MILJAAYE KAHIN LAASHA-E ASGHAR
BAS EK DAFAA USNE JO MAQTAL ME HAI PAAYAA

KHANJAR KO RAKHAA NANNHE SE HALQOOM KE UPAR
BE DARDI SE PHIR KAAT LIYAA NANNHAA SAA WO SAR
AUR CHHOD DIYAA KHAAK PE WO PHUL KE JAISAA

MISAM-O ZAFAR CHAAHAA BOHOT SHAAHE ZAMAN NE
BACH JAAYE MERAA LAAL HI PAAMAALI KI ZAD SE
PAAMAALI SE AFSOS MAGAR BACH NAHIN PAAYAA