Anjuman E Sakina



ZAINAB KA APNAA KOI NAHIn

EK LAASH PADI HAI MAQTAL MEn
AUR PUCHH NE WALAA KOI NAHIn
HER SIMT YAZIDI FOVJE HAI
ZAINAB KA APNAA KOI NAHIn

BAITHE HAI ZAMIn PER EHLE HARAM
KAR TE HAI SHAHIDOn KAA MAATAM
SAB RISHTA-E NAATEn TUT CHUKE
BEWOn KAA SAHAARAA KOI NAHIn

LAILAA SE ALI AKBAR CHHUT-E
BAANUn SE ALI ASGHAR RUTH-E
ABBAAS KO DARIYAA RAAS AAYAA
AB EHLE HARAM KAA KOI NAHIn

NEZE PE JO DEKHAA BHAAI KAA SAR
ZAINAB NE KAHAA YE RO RO KAR
JAB TUM HI NAHIn HO SAATH MERE
JINE KI TAMANNAA KOI NAHIn

AABID PE NAZAR BEWOn KI KHABAR
BACHCHON KO SULAANAA BEHLAAKER
KISS KISS KO SAHAARAA DE ZAINAB
KHUD JISKAA SAHAARAA KOI NAHIn

KUCHH DER THEHER JAAO AKBAR
MAAn DEKH LE TUM KO JI BHARKAR
JO RAN KI IJAAZAT LE-KE GAYAA
PHIR LOVT KE AAYAA KOI NAHIn

ATHTHAARAA BAAS KE BETE KI
MAYYAT TO UTHAALI SHEH NE MAGAR
JO BAAP KE SIN-E MEn UTHTHAA
US DARDKO SAMJAA KOI NAHIn

SHABBIR NE JAB PAANI MAANGAA
EK TIIR CHALAA YE KEHTAA HUWAA
JO PYAAS BUJAAE ASGHAR KI
AFSOS KE AISAA KOI NAHIn