Anjuman E Sakina



AYYAAME AZAA AAYAA HAI AUR SINAA ZANI HAI
YE MAATAME FARZANDE RASULE ARABI HAI

ISS MAAH MEN LOOTI GAYI ZEHRAAKI KAMAAI
TALWAAR MUHAMMAD KE KALEJEPE CHALI HAI

ISS MAAH MEN HAI KHAANAE SAADAAT MEN MAATAM
AUR FAATEMAA KE DUSHMANON KE GAR MEN KHUSHI HAI

ISS MAAH MEN HAI SHAAMKE HAAKIM KE NA-E RANG
SARDAARE DO AALAM KE LIYE BE WATANI HAI

ISS MAAH MEN YE AALE PAYAMBAR KAA HUWAA HAAL
SAR NANGE HAI AUR CHEHRONPE SAB KHAAK MALI HAI

SHABBIR TO MAARE GAYE AB LUT TAA HAI ASBAAB
SAIDAANIYON PER HAAE MUSIBAT YE PADI HAI

AFSOS BAHAN DEKHTI HAI AANKHONKE AAGE
QAATIL NE RAKHI BHAAI KE GARDANPE CHHURI HAI

BHAAI KAA GALAA KAT TAA HAI KHANJER SE DUHAAI
SAR PITNEZAINAB DA-RE KHAIMEN PE KHADI HAI

MAIDAAN Kl US DHUP MEN US JALTI ZAMIN PER
SHABBIR Kl BE GHUSLO KAFAN LAASH PADI HAI