Anjuman E Sakina



GHAREEB-E ZEHRAA PE AAFAT YE AAYI HAI KAISI
ZAEEF BAAP SE LAASHE PISAR NAHIN UTH-TI

BADAN ME RAASHAA HAI SADMON SE KAAMPTAA HAI DIL
KABHI KHAYAAM KO DEKHAA KABHI SUE SAAHIL
HUSAIN ROTE HAIN HANSTE HAIN SANG DIL QAATIL
QAZAA BHI ROTI HAI MAQTAL ME AUR TANHAAI

NA DIL ME SABR KI TAAQAT NA ZABT KAA YAARAA
YE WO HUSAIN HAI JISKE THE BHAAI ATHAARAA
BICHHAD GAYE WO BHARAA GHAR TO DARD KAA MAARAA
DUHAAI DETAA HAI MAQTAL SE YE KHABAR AAYI

SUNI JO ZAINABE MUZTAR NE YE SADAA PURGHAM
BAHEN KHAYAAM ME KARNE LAGI BAPAA MAATAM
KAHAAN HO ASGHAR-O QAASIM PUKAARTE HAIN HAM
HUSAIN DASHT ME TANHAA HAI DEKHLE KOI

UDHAR HUSAIN NE MAZHAR PUKAARAA NAAME ALI
PISAR KE SINE SE KHENCHI JO ZULM KI BARCHHI
JAWAAN BETE KO AAYI HAI MOUT KI HINCHKI
AJEEB YAAS KE AALAM ME MOUT KEHTI THI