Anjuman E Sakina



HUSSEIN PYAASE KA ZAINAB SALAAM LAAYI HAI

GAYI MAZAARE PAYAMBER PE NAWHA KHWAAN ZAINAB
GIRI LAHAD PE BASAD NAALAA-O-FUGHAAN ZAINAB
LIPAT KE QABR SE KARNE LAGI BAYAAN ZAINAB
LUTAAKE AAYI HAI JANGAL MEI KAARWAAN ZAINAB
UTHO MAZAAR SE NANA MERE DUHAAI HAI

KABHI NA BHULEGI ZAINAB WOH ZULM KA MANZAR
AKELA THAA MERA BHAAI HAZAAR BAANI-E-SHAR
HAR EK SIMT SE BARSAA RAHE THE TEER-O-TABAR
SAWAARE DOSHE PAYAMBAR THA APNE KHUN MEI TAR
BAYAAN KYAA KARE ZAINAB JO DEKH AAYI HAI

LIPAT KE KABR SE ZAINAB PUKAARI AI NAANAA
PAS-E-HUSSEIN HAME ZAALIMON NE YUN LUTAA
JALAAYA AAG SE KHAIMA SARON SE CHINI RIDAA
RASAN MEI HAMKO LAINO NE IS TARHA BAANDHAA
YEH DEKHO AAJ BHI ZAKHMI MERI KALAAYI HAI

UTHI LAHAD SE PHIR EK BAAR ZAINAB-E-MAHZUU
ZAMIN HILNE LAGI KAAMPNE LAGAA GHARDUN
TABARRUKAAT KO SHAADA KIYE BAHAALE ZABUN
NIKAAL KAR KAHA SHEH KA AMAMA-E-PURKHUN
SAFAR SE NAANAA YE TOHFA NAWAASI LAAYI HAI

PHUPHI SE FATEMA SUGHRA NE PUCHA YE ROKAR
BATAAO AI PHUPHI AMMA KAHAAN HAI MERE PIDAR
DIKHAADO HAI KAHAAN BHAYYA MERA ALI ASGHAR
KAHAA PHUPHI NE KE AI BETI LUT GAYA SAB GHAR
TAMAAM KUNBE KO JANGAL MEI KHOKE AAYI HAI