Anjuman E Sakina



BAAZAAR AAGAYA BAAZAAR AAGAYAA
SAIDAANIYAAN PARESHAAN DARBAAR AAGAYAA

BHAAI BHATIJON SAB KI NEZON PE SAR CHARHE HAIN
RAAAHON ME HAR TARAF SAB PATHAR LIYE KHADE HAIN
SAR KO JUKAAYE AABIDE BIMAAR AAGAYAA

JINKE QADAM NA GHAR SE BAAHAR KABHI BHI AAYE
UN BIBIYON KO UMMAT BAAZAAR ME PHIRAAYE
YE WAQT SAYYADON PAR DUSHWAAR AAGAYAA

BAALON SE APNAA CHEHRAA SAIDAANIYAAN CHHUPAAYE
SAJJAD KI SADAA HAI DEDO KOI RIDAAEN
JAB SAAMNE YUN MAJMAA-E AGHYAAR AAGAYAA

MAJMAA SHARAABIYON KAA AUR BETIYAAN ALI KI
FIZZAA KE PICHHE CHHUP KE ZAINAB KHADI HUWI THI
YAAD USKO HAAE GHAAZI ALAMDAAR AAGAYAA

GHAAZI KAA SAR THAA NEZE PAR ZAINAB KO DEKH KAR
UJDI BATUL-ZAADI KI HAALAT KO SONCH KAR
WO SHARM SE ZAMEEN PAR KAYIN BAAR AAGAYAA

PAAUN ME BEDIYAAN HAI GARDAN ME TOUQ BHAARI
KARBAL KI KHAAK SAR ME AANKHON SE KHUN JAARI
SAJJAAD BAN KE QAAFELAA SAALAAR AAGAYAA

HAR DAUR ME YAZEED KE ALI DEEP KI SADAA
AALE NABI KI MAJLISON MAATAM TO HAR JAGAA
NAZRAANAA LEKE SHAAH KAA AZAADAAR AAGAYAA