Anjuman E Sakina



BEKASON KAA QAAFELAA HAI SHAAM KAA BAAZAAR HAI
KHWAAHARE ABBAAS GHAAZI QAAFELAA SAALAAR HAI

KYUN NA RONE KI SADAA AAYE DAR-O DIWAAR SE
BERIDAA SAIDAANIYAAN HAI AUR BHARAA DARBAAR HAI

KIS TARHA MAANGE GHULAAMON SE BHALAA AABID RIDAA
YE HAI GHAAZI KAA BHATIJAA AUR BADAA KHUDDAAR HAI

YUN HIQAARAT SE NA DEKHO SAYYADE SAJJAAD KO
YE KOI MUFLIS NAHIN KAUNAIN KAA SARDAAR HAI

HAATH SAR PAR TAAZIYAANON KE NISHAAN HAI PUSHT PAR
TOUQ HAI ZANJEER HAI AUR AABIDE GHAMKHWAAR HAI

YAA ILAAHI KAISE GUZREGAA YE NAAZON KAA PALAA
PAAUN MEN CHHAALE PADE HAI RAASTAA PURKHAAR HAI

TAAZIYAANE MAT LAGAAWO SAYYADE SAJJAAD KO
YE BOHOT ZAKHMI BOHOT PYAASAA MERAA GHAMKHWAAR HAI

CHUP HAI AABID GHAMZADAA GHABRAA RAHI HAIN BIBIYAAN
AB BOHOT NAZDIK SHAAYAD SHAAM KAA DARBAAR HAI

KEHRAHAA HAI SHAAHE DEEN AANKHON SE KHUN BEHTAA HUWAA
SHAAM KE BAAZAAR KI MANZIL BOHOT DUSHWAAR HAI

JO GHARAANAA MIT GAYAA THAA DASHT MEN GAUHAR KABHI
AAJ WOHI DO JAHAAN KAA MAALIK-O MUKHTAAR HAI