Anjuman E Sakina



TAABUTE HASSAN LAAYE HAI SHABBIR UTHHAA KE
UMMAT NE DIYAA PURSA MAGAR TEER CHALAA KE

QAASIM SE KAHO JAATAA HAI BAABAA KA JANAAZA
PHIR DEKHNA KISMAT MEI NAHIN DEKHLE AAKE

DEKHI NA GAYI MAA SE YATIMI KI WOH SURAT
GHASH KAR GAYI QAASIM KO KALEJE SE LAGAAKE

DEKHA KIYE ZAINAB KO KABHI YAAS SE SHABBIR
BHAAYI KA GALAA CHUMA KABHI ASHK BAHAA KE

MOHLAT HI NA DI MOUT NE SINE SE LAGAATE
JAARE GAYE QAASIM KI TARAF HAATH BARHAAKE

BIKHDE HUWE TUKDE HAI DILE SIBTE NABI KE
AASAAR NAZAR AANE LAGE KARBOBALA KE

HAIDAR KO KIYA QATL DIYA ZEHR HASSAN KO
SHABBIR KO MAARE GAYE MEHMAAN BANAAKE

KYAA SHAAM KE BAAZAAR PE NAZRE THI HASSAN KI
ROTE RAHE SAJJAD KO SINE SE LAGAAKE