Anjuman E Sakina



CHAADAR SAMBHAAL ZAINAB ABBAAS JAA RAHE HAIN
SADQAA NIKAAL ZAINAB ABBAAS JAA RAHE HAIN

CHAADAR CHHINENGI JIS DAM TAB KOUN PAAS HOGAA
QAIDI BANENGE JAB HAM TAB KOUN PAAS HOGAA
MAT KAR SAWAAL ZAINAB

MAQTAL ME KHO NA JAAYE GHAAZI KE BAAN BACHE
BE HAAL HO NA JAAYE GHAAZI KE BAAN BACHE
RAKHNAA KHAYAAL ZAINAB

PARDES ME CHHINEGI AB TERE SAR SE CHAADAR
AB BAAL KHOL APNE AI BIBI APNE SAR PAR
AB KHAAK DAAL ZAINAB

BACHON KE AB TAMAACHE AI BIBIYON LAGENGE
SHAAME GHARIBAAN HONGI KHAIME BHI AB JALENGE
WAQTE ZAWAAL ZAINAB

KOI KHAAK PAR KHADE KAD GHASH KHAAKE GIR RAHAA HAI
BE HAAL KOI HOKAR TAKRAA KE GIR RAHAA HAI
SABKO SAMBHAAL ZAINAB

SHEH REHGAYE HAI TANHAA KOI NAHIN HAI ZAINAB
GHAAZI KE BAAD SHEH KAA KOI NAHIN HAI ZAINAB
SHEH KAA KHAYAAL ZAINAB

GHAAZI KE GIRD PHIR KAR AANCHAL KI TU HAWAA DE
SHAANE PE HAATH RAKH KAR GHAAZI KO TU DUAA DE
AI PUR JALAAL ZAINAB

KHAIME ME THAAM KAR DIL KAHIN AA NA JAAYE SARWAR
SUNKAR YE BAYN TERE GHASH KHAA NA JAAYE SARWAR
KHUD KO SAMBHAAL ZAINAB

BARPAA NAVED IS DAM KHAIME ME HAI WO MEHSHAI
ZAINAB SE KEH RAHI HAIN SAB BIBIYAAN LIPAT KAR
KYAA HOGAA HAAL ZAINAB

CHAADAR SAMBHAAL ZAINAB ABBAAS JAA RAHE HAIN
SADQAA NIKAAL ZAINAB ABBAAS JAA RAHE HAIN