Anjuman E Sakina



SAJJAAD WATAN JAATE HAIn AI BAALI SAKINAA
SAR INDAAn SE TAKRAATE HAIn AI BAALI SAKINAA

KEHTE HAIn PHUPHI JAAN SAKINAA KO UTHAAWO
JAATE HAIn WATAN JALD KHABAR USKO SUNAAWO
KHASH ME JO HO DUKHIYAA TO USE HOSH ME LAAWO
SOTI HUWI ZINDAAn ME NAA REHJAAYE SAKINAA

ARMAAN THAA DIL ME KE WATAN JAAUNGI BHAYYAA
IS QAIDE SITAM SE JO AMAAn PAAUNGI BHAYYAA
SEHLUNGI HAR EK ZULM NA GHABRAAUNGI BHAYYAA
TUFAANE MUSIBAT SE JO NIKLEGAA SAFINAA

BACHI KI PARINOOn PE NAZAR PADTI THI JIS DAM
HAATHOn KO UTHAAKAR YE DUAA KARTI THI US DAM
AB QAIDE SALAASIL SE MERAA GUTNE LAGAA DAM
PAAS APNE BULAAO MUJHE AI SHAAHE MADINAA

NAAZOn KI PALI SHAAM KE ZINDAAn ME HAI TANHAA
AUR USPE JAFAA DEKH YE RONE PE BHI PEHRAA
GUT GUT KE BAHAATI RAHI WO ASHKOn KE DARIYAA
KEHTI RAHI BHAYYAA MERAA DUSHWAAR HAI JINAA

TAARIKI-E-ZINDAAN ME AAWAAZ YE GUNJI
IS RANJO MUSIBAT SE GHABRAA MERI BACHI
MAASUMAA-E-KAUNAIN TERE PAAS HAI BAITHI
MUSHKIL ME HI KUCHH UNKE LIYE IN ZAKHMOn KAA SINAA

HAR SHEHR HI MOMIN KE LIYE KARBOBALAA HAI
HAR ROZ HI MOMIN KE LIYEE JORO JAFAA HAI
KAAMIL YEHI TAARIKH KE CHEHRE PE LIKHAA HAI
SIKHLAADIYAA SHABBIR NE JINE KAA KARINAA