MUSTAFAA KI LAADLI PAR KYAA HUWE ZULMO SITAM
JINNO INSAAN KYAA FARISHTE HURON KI AANKEN HAI NAM
HAAYE JUTLAAYI GAYIN WO GHAMZADAA DARBAAR ME
JINKO SIDDIQAA KAHAA KARTE THE SULTAANE UMAM
JISKAA MARTAA HAI KOI DETE HAIN PURSAA USKO LOG
SAYYADAA KAA GHAR JALAANE AAYI UMMAT HAI SITAM
AAYA-E-TATHEER JIS DAR PAR NABI PADTE RAHE
PEHLU-E-ZAHRAA PE US DAR KO GIRAAYAA HAI SITAM
ZULM BHI DHAAYAA GAYAA RONE SE BHI ROKI GAYI
GHAR SE KABRASTAAN ME KYUN JAAYE NA ZAHRAA KARNE GHAM
GAR MASAAEB FAATEMAA KE PADTE ROSHAN ROZ PAR
KAALI RAATON ME BADAL JAATE, WO ALLAH KI QASSAM
ROTE ROTE CHAL BASI DUNIYAA SE BINTE MUSTAFAA
ZULM KI UMMAT KE YE HAD POHNCHI KHAALIQ KI QASAM
TOP KE GOLON SE HAI WIRAAN KIYAA UNKI MAZAAR
BAADE AHMED FATEMAA PAR KYAA HUWE ZULMO SITAM