BAND HOTE HI NABI KI AANKHEN BADLAA YUN ZAMAAN
AAL KI HAALAT PE ROE AMBIYAA-O-AUSIYAA
HAQ NE JINKE WAASTE KOUN-O-MAKAAN PAIDAA KIYE
GHAR JALAANE UNKAA ZAALIM LAAYE AAG AUR LAKDIYAAN
DAR PE ZAHRAA KE TO AAYE FAKHR SE JINN-O-MALAK
AUR UNHI PAR DAR GIRAAKAR TOD DAALI PASLIYAAN
FAATEMAA GHAR ME NA ROYI, ROYI KABRASTAAN ME
ZULM DHAANE WAALE GIRYAA SUN NAHIN SAKTE YAHAAN
KYUN SHAJAR KO KAAT-TE HO ZAALIMO REHNE BHI DO
ISKE SAAYE KE TALE LETI HAI ZAHRAA HINCHKIYAAN
MUSTAFAA TAAZIM KO UTH-TE THE JISKI WO GHARIB
ROTE ROTE CHAND DIN ME CHAL BASI SUE JINAAN
GHUSL DENE ME YAKAA-YAK CHEEKH KAR ROE ALI
BAAZU-E ZAHRAA PE DEKHAA TAAZIYAANON KE NISHAAN
MARSIYAA SUBBAT KAA BAADE MARG BHI BAAQI RAHAA
ROUZAA-E ZAHRAA KO GOLON SE KIYAA HAI BE NISHAAN