Anjuman E Sakina



NA AB HUSSAIN NA LASHKAR HUSSAIN KA HOGA
SITAM UTHAANE KO BIMAAR E KARBALA HOGA

PATAKTI HONGI SAR APNA FURAT KI MAUJE
DHUAN JALE HUWE KHAIMON SE UTHH RAHA HOGA

ZAMINE GARM PE TASHNA DAHAN PADE HONGE
SARON PE AB KOI SAAYAA NA REH GAYA HOGA

KISI NE BAALIYAAN KAANON KI CHHINLI HONGI
KOI TAMAACHE SAKINA KO MAARTA HOGA

ASIR HOKE NABI ZAADIYAAN CHALI HONGI
TO DIL KA HAAL KHUDA JAANE KYA HUWA HOGA

LAHU SHAHIDON KA DEKHA JO HOGA ZAINAB NE
TO DIL SE PYAAS KA EHSAS MIT GAYA HOGA

PADE HAI LAASH KE TUKDE KATE HAI BAAZU BHI
MAGAR SAKINANE PEHCHAAN TO LIYA HOGA

BATA RAHE HAI NISHAAN EDIYAA RAGAD NE KE
KOI JAWAN YAHAAN PAR TADAP RAHAA HOGA

ABHI NASIB MEN DURRE HAI AUR TAMAACHEN HAI
ABHI SAKINA KO PAANI KAHAAN MILAA HOGA

TUMHAARI PYAAS TO NAAWAKSE BUKHGAYI ASGHAR
DILE RABAB MAGAR GHAM SE HUK RAHA HOGA

CHHUTI NA MARKE BHI TALWAR AVNO JAAFAR SE
DILON ME HONSLAA KYA JAANE KYA RAHA HOGA

ABHI SUKUN MUNAWWAR KAHAAN YATIMON KO
ABHI TO QAIDE MUSIBAT KA SAAMNA HOGA